Bikhar gai khuwab, jo tum chalay gai
Huwa aisa kia jo tum chalay gai.
Mita k saari batain, mita k saari hasti
Kia aisa kia, jo tum chalay gai.
Teri yaadein hain jo bhulti nhi,
Tery waday thy jo tum torr gai
Be-wafai aisy kia, jo tum chalay gai.
Jo kia tha tummy mujhse izhar-e- aihad-o-wafa
Aur mana tha mujhe apni jaan aur zindagi kuch is trha
Kia mainy kuch kaha, jo tum chalay gai.
Aankhon ma dy k aanso, haathon ma mery dil k tukry
Saaza aisy kia, jo tum chalay gai.
Na bhulny wali yaadein, na-muqamal honay wali khuwahish
Khata aisy kia, jo tum chalay gai
Ye rog-e-zindagi to nhi, mgr phr bhe dard hum ny pala ha
Muhabbat aisy kia, jo tum chalay gai.
Mujh se ye keh kr hamesha k liye mun phair liya tummy
K tumhain bhula dainy ma khushi ha aur sunkoon-e-zindagi ha
Dil joie aisy bhe kia, jo tum chalay gai.
Aik akhri ghuftago ma ye baat usny ki k
Yuhin mery liye duwa go raho aur khud bhe sada khush raho
Duwaa aisy bhe kia, jo tum chalay gai.
Bikhar gai khuwab jot um chalay gai.