RSS

Category Archives: Random Shairy

Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh

dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh

dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh

sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh

kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh

MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi
aur pocheye tu jurrat-e-inkaar bhi nahi

merey kholoos per jo bharosa na ho tumhain
mujh ko taluqaat pe israr bhi nahi

hain merey ghum-gusaar agar mujh sey bad gumaa.n
main ghum-gusariyoo.n ka talab-gaar bhi nahi

gull kar deye charagh kisi nay tu kya howa
ab roshni sey hum ko sar-o kaar bhi nahi

kaam un sey aa para hay muqaddar ki baat hay
hum jin sey guftugu k rawa-daar bhi nahi

un rastoo.n sey ho kar guzar aai zindagi
jin rastoo.n main saya-e dewaar bhi nahi

maazi bohat aziz hay Iqbaal ko magar
wo eh’d-e raftagaa.n ka aza-daar bhi nahi

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log

fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log

kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log

is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log

hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log

ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke,
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay….

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

Masrur Rahy….

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya,
Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai SanaM Pehra Tera,
Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai,
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai,
Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera,
Pyaar Mein HuM SanaM Ye Sara Jag Bhula Denge,
Mar Ke Waade Chahaton Ke HuM Nibha Denge,
Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera…
 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

Sham’e Ashiqi Se Kehdo Rah’e Aam Tak Na Puhanche
Mujhe Khof Hai Yeh Tuhmat Mere Naam Tak Na Puhanche

Main Nazar Se Pee Raha Ta K Yeh Dil Ne Bad’dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar Kabhi Jaam Tak Na Puhanche

Nayi Subah Per Nazar Hai Magar Aah Yeh B Dar Hai
Yeh Sehar Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Na Puhanche

Yeh Adaye Be’niazi Tujhe Be’wafa Mubarak

Magar Aisi Be’rukhi Kya K Salaam Tak Na Puhanche

Jo Naqab’e Rukh Utha Di Tu Yeh Qaid B Laga Di
Uthe Har Nigaah Lekin Koi Baam Tak Na Puhanche

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ay Jaan-e-Ghazal
Log Toofan Utha Den Gay Mere Sath Na Chal

Pehle Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehle Haq Tha Teri Khushboo-e-Badan Par Mera

Ab Kisi Aur Ke Hain Shano Pe Aanchal Tera
Log Toofan Utha Den Gay Mere Sath Na Chal

Meri Kismat Mein Nahin Pyar Ki Khushboo Shayad

Mere Hathon Ki Lakeeron Mein Tu Nahin Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal
Log Toofan Utha Den Gay Mere Sath Na Chal

Mujhse Kahti Hain Yeh Khamosh Nighahen Teri
Meri Parvaz Se Uunchi Hain Panahen Teri

Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Toofan Utha Den Gay Mere Sath Na Chal

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy

 

jahan main jaun hawa ka yahi ishara ho
koi nahi jo yahan muntazir tumhara ho
meri bujhati hui aankhon ko roshni bakhshe
wo phul jo tere chehare ka ista’ara ho
chala hun apni hi aavaz-e-bazgasht pe yun
kisi ne dur se jaise mujhe pukara ho
ganva chuke kai umren ummidvar tere
kahan tak aur teri berukhi gavara ho
tu pas aate huye mujh se dur ho jaye
ajab nahi ki yahi hadasa dobara ho
nazar farebi-e-rang-e-chaman se bach ‘makhmoor’
jise tu phul samajh le kaheen sharara ho…

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in Random Shairy