RSS

Category Archives: I Miss U poetry

Tumhara zikar abhe krty hain,Tumhain ab bhe Yaad krty hain.

Quote

Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga ,
Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga,
Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad,
Toh Phir Yaad Dilane Se Kya Hoga?

Din Me Deepak Jalane Se K…

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Haqeeqat se durr

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Chupae Ansoo

Bighi Palkon Tale Hum Ne Chupae Ansoo
Hasna Chaha Maghar Ankh Me Ae Ansoo

Tum Ko Malum Shaed Ho K Na Ho
Tere Jane Pe Bhohat Hum Ne Bahae Ansoo

Pyar Ik Khel Kaha Tha Ke Tamasha Karte
Hum Ne Yeh Soch Ke Khud Se Bhi Chupae Ansoo

Jo Tere Sangh Bite The Vo Din Yaad Bhohat Ae
Hum Ne Injame Muhabat Pe Bahae Ansoo

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Hum bhe wohi rahy tum bhe wohi rahy

Tum tu bichar gaey mgr Sapny wohi rhy
Mosam bdl gaey mgr Manzar wohi rhy

Hoti rahin Sargoshiyan Tnhaeyon k saath
Lehrain bdl gaen mgr Sahil wohi rhy

Kuch aisy Taqdeer ny Faisly kiye
Duaen bdl gaen mgr Daman wohi rhy

Hum chah k bhi umar bhar Nashad hi rhy
Umar beet gai mgr Jazby wohi rhy

Kia hua jo rishton ki Pehchaan bdl gaeI
Hum bhi wohi rhy aur Tum bhi wohi rhy

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Kabhi to laut kr aao.

Kabhi to laut kar aao
Mujhe bas itna samjhao
Kahan se seekhh li tum ne
Ada mujh ko bhulany ki
Tumhen mujh se shikwa tha,
Ya koi bhi shikayat thi,
Zehmat to zara si thi
Na koshish ki batane ki
Bhala yun chor kar apna,
Koi apno ko jata hai
Musalsal dukh ki barish mein
Jeevan bhar rulata hai
Abhi bhi rait geeli hai
Abhi sab naqash baqi hain
Gaey qadmon pe laut aao
Mujhe bus itna samjhao
Kahan se seekhh li tum ne
Ada mujh ko bhulany ki…

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Hai Ishq, mgr itna ziada bhe nhi.

marne ka tery Gham meiN iradah bhi nahiiN hai
hai ishq magar, itna ziyaadah bhi nahiiN hai

hai yuuN k ibaadat ki zabaN aur hai ko’ii
kaaGhaz mirii taqdeer ka saadah bhi nahiiN hai

kyuN dekhte rehte haiN sitaroN ki taraf hum
jab unse mulaqaat ka vaadah bhi nahiiN hai

kyuN raah ke manzar meiN ulhaj jaati haiN aankheN
jab dil meiN ko’ii aur iradah bhi nahiiN hai

kyuN uski taraf dekh k paaoN nahiiN uThte
wo shaKhS Acha itna ziyaadah bhi nahiiN hai

kis moR pe le aaya hameN hijr-e-musalsal
taa had- e-nigaah vasl ka vaadah bhi nahiiN hai

paththar ki tarah sard hai kyuN aaNkh kisii kii
Saaqi jo bichaRne ka iradah bhi nahiiN hai

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Jo chala gaya wo chala gaya

Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya

Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya

Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya

Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya

Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya

Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya

Aey dil ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 

Muhabbat ki thi

.

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi.
Tumko yad he jab maine ye hamaqat ki thi.

Use raazdan smajh kar bataya tha haal-e-dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.

Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Mane ik naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.

Us ko chor ke hanste hoye ghar aa ke.
Itna roye the ke ankhon ne qayamt ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Mane bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi.

 
1 Comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry