RSS

Category Archives: I Miss U poetry

Tumhara zikar abhe krty hain,Tumhain ab bhe Yaad krty hain.

Toot ke Roye….

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman’na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta’alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo’n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao’n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro’n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak ‘Uss Chaand’ Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

 
Leave a comment

Posted by on October 20, 2012 in I Miss U poetry

 

Meri talab ta aik shaks……..

Meri talab tha aik shaks, jo nhi milla to phr,

haath duwaa se yun girra, bhool gaya sawaal bhe.

 

Us ki sukhun taraziyaan mery liye bhe dhaal thi,

uski haani ma chup gaya apny ghamon ka haal bhe.

 

Gah kareeb shehrag, gah baeed weham-o-khuwaab,

uski rafakatoon ma raat, hijar bhe tha wasaal bhe.

 

Uskay hee bazuon ma khud ko sochti rahi,

jism ki khuwahish pe thy, ruh k oraajal bhe.

 
Leave a comment

Posted by on June 13, 2012 in I Miss U poetry

 

Ye aaankh roney ki shiddat se laal thorhi hai??

Malal hai magar itna malal thorhi hai??

 

Bus apne wastey hi fikr-mand hain sab log..

Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai??

 

Paron ko kaat dia hai urhan se pehle..

Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai??

 

Maza to jab hai k haar k bhi hanstey raho..

Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai??

 

Lagani parhti hai dubki ubharney se pehley..

Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai??

 
Leave a comment

Posted by on June 13, 2012 in I Miss U poetry

 

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,

Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..

 

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..

 

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,

Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..

 

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,

Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..

 

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,

Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!

 
Leave a comment

Posted by on June 13, 2012 in I Miss U poetry

 

Bayan har kisi se hijr o wisaal karty ho,

kiun apna sheher main jeena muhaal karty ho

 

bichar k bhala kabhi milay hain musafir bhi

kiun apnay apko yun hi nidhaal karty ho,

 

suna ha wo bhi tumhain poochta ha aisay hi

tum us k bary main jesay sawal karty ho

 

wo aashnaai usay yad hi na ho shayad,

wo jis k nam pe sab maah o sal karty ho,

 

Boho azeez tha shayad wo is liay Mohsin

bicharny walay ka ab tak malal karty ho.

 
Leave a comment

Posted by on June 13, 2012 in I Miss U poetry

 

bikhar gai khuwaab…………..

Bikhar gai khuwab, jo tum chalay gai

Huwa aisa kia jo tum chalay gai.

Mita k saari batain, mita k saari hasti

Kia aisa kia, jo tum chalay gai.

Teri yaadein hain jo bhulti nhi,

Tery waday thy jo tum torr gai

Be-wafai aisy kia, jo tum chalay gai.

Jo kia tha tummy mujhse izhar-e- aihad-o-wafa

Aur mana tha mujhe apni jaan aur zindagi kuch is trha

Kia mainy kuch kaha, jo tum chalay gai.

Aankhon ma dy k aanso, haathon ma mery dil k tukry

Saaza aisy kia, jo tum chalay gai.

Na bhulny wali yaadein, na-muqamal honay wali khuwahish

Khata aisy kia, jo tum chalay gai

Ye rog-e-zindagi to nhi, mgr phr bhe dard hum ny pala ha

Muhabbat aisy kia, jo tum chalay gai.

Mujh se ye keh kr hamesha k liye mun phair liya tummy

K tumhain bhula dainy ma khushi ha aur sunkoon-e-zindagi ha

Dil joie aisy bhe kia, jo tum chalay gai.

Aik akhri ghuftago ma ye baat usny ki k

Yuhin mery liye duwa go raho aur khud bhe sada khush raho

Duwaa aisy bhe kia, jo tum chalay gai.

Bikhar gai khuwab jot um chalay gai.

 
Leave a comment

Posted by on June 9, 2012 in I Miss U poetry

 

Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na

Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na

Zara Chupkey Se
Khamoshi Se

Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na

Khud Ko Ker k
Deewana Sa

Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na

Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon

Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na

Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar

Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na …

 
Leave a comment

Posted by on June 9, 2012 in I Miss U poetry

 

Humary dermain aisa koi rishta nhi tha….

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

 
Leave a comment

Posted by on June 9, 2012 in I Miss U poetry

 
Aside

Ansoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo,

Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo,

Log muthi bhar namak liye ghumtey hain,

Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo.

Ansoon ko ankho…

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry

 
Aside

Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota
Toh kya hua agar hum tume na paa sake
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota…

 

Har khamoshi ka…

 
Leave a comment

Posted by on June 8, 2012 in I Miss U poetry